Friday, May 29, 2009

दिल्ली की सड़कों पर

Thursday, February 19, 2009

dil ki aawaaj

hua mohobbat mein tera gum jo haasil mujhe.
rahe-ulfat mein mil gaya hai saahil mujhe.

dil ke sau tukde huye hain wafa ki raah mein,
phir bhi jamaana kehta raha hai patthardil mujhe.

ek nazar dekha aapne to dil ko chain mila,
samjha to aapne ek nazar ke kaabil mujhe.

tanha-tanha rehta hoon mehfilon mein aajkal,
tum bin suni lagti hai ab har mehfil mujhe.

mana ki bin maange hi tumhe dil de baitha,
ab jaa rahaa hoon lautaa do mera dil mujhe.

sher o shayari

dil mein aapne bhi kabhi sapne sanjoye honge,
yaadon mein aap bhi kisi ki khoye honge,
maana ki hansnaa ada hai gum chhupaane ki,
magar hanste-hanste aap bhi kabhi roye honge.

deewaani hai wo

nigahen milte hi jaane kyun sharma-si jaati hai.
rubaru mujhe dekhkar thodi ghabra-si jaati hai.

yun to kanakhiyon se mujhko dekha karti hai,
nigahen pher leti hai jab mujhko saamne paati hai.

khoya rehtaa hoon jab main khwaabon ki duniya mein,
hosh mein laane ko jaise payal chhankaati hai.

dhoop mein jalta hai jab bhi mera ye badan,
ghataen ghir aati hain jab wo julfe bikhraati hai.

lagta hai unhe bhi tujhse ishq hai 'vineet',
khud bhi tadapti hai aur tujhko tadpaati hai.

Wednesday, February 18, 2009

zindagi kya hai

zindagi kya hai?
ek machalti kahaani,
ek madmast jawaani,
ek chaand sa mukhda,
ek dil ka tukda,
ek deewanagi hai ya koi ada hai,
zindagi kya hai?

hansne ka naam,
gamo ki shaam,
kisi ki ummeed,
kisi ki zid,
hai ek khel jaise jua hai,
zindagi kya hai?

hai aankhon ka paani,
kadmo ki rawaani,
hai bewafaai, kisi ki judaai,
koi khairaat hai ya koi dua hai,
zindagi kya hai?

na hai ek kahaani,
na koi rawaani,
hai bus ye judai,
aur hai tanhaai,
iski kahaani to dil se bayaan hai.
jindagi kya hai?
zindagi mehbooba hai.

haalat e hindustan

Na koi gali, na koi dagar, na makaan hai.
bus ek khuli chhat hai aur asmaan hai.

bebas hain lachaar hain is watan ke log,
bus tanhaaiyaan hain pasri jaise samsaan hai.

dil se koi awaaj nikle bhi to kaise,
dil hain inke patthar, patthar zubaan hai.

cut jayenge haath tumhare jo uthe inqlaab ko,
talwaare hain khichi hui na koi myan hai.

bikhar jaoge kab, kahan, kis mod par,
sambhal kar chalna yaaron ye hindustaan hai.